zat ke baad mukafat mein aa jate hain log kam-zarf khurafat mein aa jate hain tab khuda ki kisi hikmat pe yaqin aata hai jab ababil bhi arfat mein aa jate hain ghar ki daulat ko sar-e-am lutane wale bap marta hai to auqat mein aa jate hain yaad bachpan ki satae to suhulat ke liye titliyan dekhne baghat mein aa jate hain ab bhi man bap ke purkhon ko salami dene shahar ke log mazafat mein aa jate hain