zau-bar isi samt hue shams-o-qamar bhi us shokh ne phera rukh-e-pur-nur jidhar bhi mitti hai kahin dil se shab-e-gham ki siyahi hoti hai kahin hijr ke maron ki sahar bhi hain donon jahan ek hi tanwir ke partaw hai ek hi jalwa jo idhar bhi hai udhar bhi nikli thi tere jalwa-e-rangin ki khabar ko gum ho ke wahin rah gai kambakht nazar bhi hoti hi nahin subh nikharta hi nahin nur hai dubi hui shab ki siyahi mein sahar bhi kuchh un ki hasin yaad ki shamen thin farozan kuchh nur-fishan dil mein raha dagh-e-jigar bhi samjhen na 'jalis' aap hamein hech ki hum mein hain aib hazaron to hazaron hain hunar bhi