zauq-e-sarmasti ko mahw-e-ru-e-jaanan kar diya kufr ko is tarah chamkaya ki iman kar diya tu ne ye ejaz kya ai soz-e-pinhan kar diya is tarah phunka ki aakhir jism ko jaan kar diya jis pe meri justuju ne dal rakkhe the hijab be-khudi ne ab use mahsus o uryan kar diya kuchh na hum se ho saka is iztirab-e-shauq mein un ke daman ko magar apna gareban kar diya go nahin rahta kabhi parde mein raaz-e-ashiqi tum ne chhup kar aur bhi us ko numayan kar diya rakh diye dair o haram sar marne ke waste bandagi ko be-niyaz-e-kufr-o-iman kar diya aariz-e-nazuk pe un ke rang sa kuchh aa gaya in gulon ko chhed kar hum ne gulistan kar diya in buton ki surat-e-zeba ko 'asghar' kya kahun par khuda ne wae nakaami musalman kar diya