zauq-e-wafa-e-ishq na ruswa karenge hum
By raft-bahraichiJanuary 4, 2024
zauq-e-wafa-e-'ishq na ruswa karenge hum
tadpaenge huzur to tadpa karenge hum
yun rasm-e-bandagi mein izafa karenge hum
un ko bitha ke samne sajda karenge hum
hasil-kalam 'ishq mein aur kya karenge hum
banda-nawaz aap ko sajda karenge hum
kya gham hai kya khushi hai na puchha karenge hum
har rukh se zindagi ka nazara karenge hum
do din ki zist us pe alam ki ziyaadti
is ka zarur aap se shikwa karenge hum
aaina aa chuka hai barabar subut mein
waisa jawab paenge jaisa karenge hum
badhta hai gham-nasibon ke rone se aur dukh
ab aablon ko apne na chheda karenge hum
dair-o-haram se shad ki nashad aae hain
is baat ka kisi se na charcha karenge hum
'rafat' firaq-e-dost ko badnam kyon karen
sau lutf intizar mein paida karenge hum

76974 viewsghazal • English