zawal-e-gulsitan dekha na jae

By amjad-ali-ghaznawiOctober 2, 2021
zawal-e-gulsitan dekha na jae
ujadta aashiyan dekha na jae
utho aur mausam-e-gul mein badal do
agar daur-e-khizan dekha na jae


raha karte hain hum ab us zamin par
jahan se aasman dekha na jae
ye hum baada-kashon ki anjuman hai
yahan sud-o-ziyan dekha na jae


kisi bulbul se kyon ab shakh-e-gul ko
chaman mein gul-fishan dekha na jae
khade hain sar ke bal shaikh-o-barahman
dar-e-pir-e-mughan dekha na jae


hamare daur-e-ghamgin mein kisi se
kisi ko shadman dekha na jae
na jaane kyon kisi mahfil mein mujh se
kisi ko sargiran dekha na jae


bahut dekhi riya-kari-e-ada
fareb-e-dostan dekha na jae
dayar-e-dair ya sehn-e-haram mein
hujum-e-mai-kashan dekha na jae


safar mein karwan se dur rah kar
ghubar-e-karwan dekha na jae
siyasat ke tan-e-be-jaan pe 'amjad'
hujum-e-kargasan dekha na jae


98708 viewsghazalEnglish