zawal mein bhi raha dil-nashin nazara mera mere hi sath gira tut ke sitara mera kisi pe ramz meri baat ki khuli hi nahin na kaam aaya mere koi istiara mera yaqin kisi ko na aaya main dub sakta hun samajh rahe the agarche sabhi ishaara mera nadi ki tarah kinara bhi katta hun main kisi hisar mein hota nahin guzara mera ye baat jaan ke hairat nahin hui mujh ko ki meri aag se raushan raha sitara mera na rok pai mujhe maujon ki koi sazish rawan-dawan hai abhi jhil mein shikara mera abhi se samt badalne laga main kyun 'alam' abhi to dur bahut dur hai kinara mera