zehn jab be-asas hota hai shahr ka shahr udas hota hai das sadi ba'd ye bhi dekh liya kaun yun na-sipas hota hai aaine par jila na ho to kahan nur ka inikas hota hai dil mein iblis ho to danish par jahl ka iltibas hota hai us se hariyali dur kar do to sabza bas zard ghas hota hai sare but niklen tab kahen ye dil ishwar ka niwas hota hai ek hi dware jo nawae sis wo manush sachcha das hota hai us ki mahima ka or chhor nahin das ban kyon niras hota hai ek nawa-gar ka dard bantne ko chand bhi aas-pas hota hai soch ke jism par katan se khafi chandni ka libas hota hai