zikr-e-wafa kab ek fasana hai aaj-kal
By raft-bahraichiJanuary 4, 2024
zikr-e-wafa kab ek fasana hai aaj-kal
mar ke nahin to ji ke dikhana hai aaj-kal
jis dil ko dekho in ka nishana hai aaj-kal
jaise inhin buton ka zamana hai aaj-kal
kis ki zaban pe zikr mere 'ishq ka nahin
dekho na ek lafz fasana hai aaj-kal
mujh ko mita ke is tarah se mutmain wo hain
jaise sawab zulm ka dhana hai aaj-kal
marna dalil-e-amn hai takmil-e-amn hai
jina meri nazar mein bahana hai aaj-kal
mujh ko sata ke dekh le ai na-sipas waqt
mere liye malal tarana hai aaj-kal
zulfon ke bal nikal na de to sahi huzur
har-chand dast-e-naznin shana hai aaj-kal
tujh ko hansi na aaegi to kis ko aaegi
ai inqilab tera zamana hai aaj-kal
hum aur dil ki baat kahen tauba kijiye
khud jumbish-e-nigah fasana hai aaj-kal
'rafat' hamin ko khud nahin islah ki tamiz
kyon kahiye kajrawi pe zamana hai aaj-kal

34179 viewsghazal • English