zikr kyun-kar na karun aap ke ruKHsaron ka
By raft-bahraichiJanuary 4, 2024
zikr kyun-kar na karun aap ke rukhsaron ka
hun main hafiz isi quran ke do paron ka
le chali rahmat-e-haq naz se jab jaanib-e-khuld
dekha munh yas se dozakh ne gunahgaron ka
ye rah-e-'ishq hai yan naz na kar ai zahid
kafiron ka wahi rutba hai jo din-daron ka
jald se jald pila jam pe jam ai saqi
munh tak aaya hai kaleja tere mai-khwaron ka
jite ji lakh bache lakh subuk-dosh rahe
mar ke ehsan uthana hi pada yaron ka
jhuk ke bhar deta hai har ek ka khali saghar
shisha karta hai adab daur mein mai-khwaron ka
lutf 'ushshaq ko kuche mein tere khuld ka hai
saya-e-tuba hai saya teri diwaron ka
apne munh dekh liya karte hain bismil qatil
aaina ban gaya jauhar teri diwaron ka
mai-parasti na gai 'rafat'-e-mehrab-nashin
hae is shakl pe ye kaam siyah-karon ka

70756 viewsghazal • English