zikr ta fikr nazar tak mahdud justuju sari khabar tak mahdud kar diya hum ne hi nadani mein moajiza shaqq-e-qamar tak mahdud kya bujha paegi namrud ki aag wo ibaadat jo hai dar tak mahdud kuchh nahin zat ke nauhe ke siwa is adab mein jo hai shar tak mahdud shaikh ki sari kamai afsos rah gai lal-o-gohar tak mahdud aaj bhi hain mere qadmon ke nishan bas teri rahguzar tak mahdud ishq mein koi bhi sauda 'asim' hum ne kab rakkha hai sar tak mahdud