zinda rahne ki aziyyat hi nahin hai kuchh kam

By salim-saleemFebruary 28, 2024
zinda rahne ki aziyyat hi nahin hai kuchh kam
aur marne ka bhi andesha laga rahta hai
‘aks-dar-‘aks sabhi qaid hue jate hain
us ke darwaze pe aaina laga rahta hai


sirf ek tu hi nahin apne badan ke hamrah
mere pichhe bhi koi saya laga rahta hai
jam' hote hain yahin par tere bikhre hue khwab
sahil-e-chashm pe ek mela laga rahta hai


khatm hoti hi nahin hai meri aashufta-sari
us gali mein mera sarmaya laga rahta hai
53792 viewsghazalEnglish