zinda rahne ki ye tarkib nikali main ne apne hone ki khabar sab se chhupa li main ne jab zamin ret ki manind sarakti pai aasman tham liya jaan bacha li main ne apne suraj ki tamazat ka bharam rakhne ko narm chhanw mein kadi dhup mila li main ne marhala koi judai ka jo darpesh hua to tabassum ki rida gham ko udha li main ne ek lamhe ko teri samt se uttha baadal aur barish ki si ummid laga li main ne baad muddat mujhe nind aai bade chain ki nind khak jab odh li aur khak bichha li main ne jo 'alina' ne sar-e-arsh dua bheji thi us ki tasir yahin farsh pe pa li main ne