zinda rahne mein hun shamil aur na mar jaane mein hun

By naseem-siddiqiNovember 10, 2020
zinda rahne mein hun shamil aur na mar jaane mein hun
surat-e-taswir mein bhi aaina-khane mein hun
ya ba-shakl-e-jins hun hissa kisi bazar ka
ya kisi kirdar ka manind afsane ka hun


ek pal hun sikka-e-raej ba-tuzk-o-ihtisham
dusre pal kaudiyon ke mol bik jaane ko hun
hai khasara hi khasara sari hasti sab wajud
main bhi shamil hun usi mein aur harjaane mein hun


hun kabhi main saghar-e-sairabi-e-kaun-o-makan
tishnagi ban kar kabhi hasti ke paimane mein hun
na-muradana hi sargarm-e-amal hun dahr mein
main na pane ke taqaze mein na kho jaane mein hun


94911 viewsghazalEnglish