zindagi aisi saza hai ki saza bhi to nahin dil dhadakta hai dhadakne ki sada bhi to nahin kya khadd-o-khal the kuchh yaad raha bhi to nahin aisa bachhda koi muddat se mila bhi to nahin aahaten kya tere qadmon ki sunai dengi ab ki pahlu mein dil naghma-sara bhi to nahin rah-e-ishq bhatak hi na sakin itne tabinda nuqush-e-kaf-e-pa bhi to nahin yun teri yaad mein ek umr guzari ki mujhe apni tanhai ka ehsas hua bhi to nahin kis ko rudad-e-gham-e-ishq sunai jae dasht mein aur koi aabla-pa bhi to nahin ek muddat se koi zakhm-e-dil-o-jaan 'nashtar' be-niyaz-e-karam mauj-e-saba bhi to nahin