zindagi apni kaamyab nahin

By nadir-shahjahanpuriNovember 10, 2020
zindagi apni kaamyab nahin
gham-e-dauran ka kuchh hisab nahin
dard jis mein na ho wo dil kaisa
naz jis mein na ho shabab nahin


mauj-e-dariya ko chahiye tezi
jo uthae na sar habab nahin
dost teri harim-e-aqdas mein
ek banda hi baryab nahin


khwab-e-marg aaega zarur ek din
ye haqiqat hai koi khwab nahin
tere bab-e-qubul par yarab
arz meri hi mustajab nahin


kaam ye la jawab karte ho
mere khat ka koi jawab nahin
mere jurmon ka kuchh hisab to hai
tere hi rahm ka hisab nahin


kya karun teri did ki hasrat
jab mujhe dekhne ki tab nahin
dekh gahri nazar se dariya ko
koi aisi khuli kitab nahin


tujh se bekas hain saikdon 'nadir'
zer-e-gardun tu hi kharab nahin
70603 viewsghazalEnglish