zindagi bhar hum lab-e-dariya rahe aur sarabon ki tarah tishna rahe meri tariki se ghar kyun ho siyah aankhen bujh jaen diya jalta rahe ban gae har ahd ke dil ki umang zinda log is tarah bhi zinda rahe zulm dekho qasr-e-ishrat hum banaen aur hamin par band darwaza rahe jagti aankhon se kya aae nazar aadmi ka zehn agar soya rahe 'mahshar' is taron ki duniya mein mudam chand ki manind hum tanha rahe