zindagi dard ki kahani hai

By January 1, 2017
zindagi dard ki kahani hai
zindagi dard ki kahani hai
chashm-e-anjum mein bhi to pani hai
be-niyazana sun liya gham-e-dil
mehrbani hai mehrbani hai


wo bhala meri baat kya mane
us ne apni bhi baat mani hai
shola-e-dil hai ye ki shoala-saz
ya tera shola-e-jawani hai


wo kabhi rang wo kabhi khushbu
gah gul gah raat-rani hai
ban ke masum sab ko tad gai
aankh us ki badi siyani hai


aap-biti kaho ki jag-biti
har kahani meri kahani hai
donon aalam hain jis ke zer-e-nagin
dil usi gham ki rajdhani hai


hum to khush hain teri jafa par bhi
be-sabab teri sargirani hai
sar-ba-sar ye faraaz-e-mahr-o-qamar
teri uthti hui jawani hai


aaj bhi sun rahe hain qissa-e-ishq
go kahani bahut purani hai
zabt kije to dil hai angara
aur agar roiye to pani hai


hai thikana ye dar hi us ka bhi
dil bhi tera hi aastani hai
un se aise mein jo na ho jae
nau-jawani hai nau-jawani hai


dil mera aur ye gham-e-duniya
kya tere gham ki pasbani hai
gardish-e-chashm-e-saqi-e-dauran
daur-e-aflak ki bhi pani hai


ai lab-e-naz kya hain wo asrar
khamushi jin ki tarjumani hai
mai-kadon ke bhi hosh udne lage
kya teri aankh ki jawani hai


khud-kushi par hai aaj aamada
are duniya badi diwani hai
koi izhaar-e-na-khushi bhi nahin
bad-gumani si bad-gumani hai


mujh se kahta tha kal farishta-e-ishq
zindagi hijr ki kahani hai
bahr-e-hasti bhi jis mein kho jae
bund mein bhi wo be-karani hai


mil gae khak mein tere ushshaq
ye bhi ek amr-e-asmani hai
zindagi intizar hai tera
hum ne ek baat aaj jaani hai


kyun na ho gham se hi qimash us ka
husn taswir-e-shadmani hai
suni duniya mein ab to main hun aur
matam-e-ishq-e-an-jahani hai


kuchh na puchho 'firaq' ahd-e-shabab
raat hai nind hai kahani hai
96954 viewsghazalEnglish