zindagi dasht mein guzari hai
By umood-abrar-ahmadMarch 1, 2024
zindagi dasht mein guzari hai
jis ka hasil ye burdbari hai
maut ka nam le rahe ho tum
zindagi kab bhala hamari hai
sham wo ghar ko der se pohncha
jis ki aankhon mein khwab jari hai
lakh rakkhi hain hasraten tum ne
jaane kis baat ki khumari hai
hum zamane ko padhne nikle the
ab to khud dastan hamari hai
band darwaze hi milenge tumhein
is qadar mujh pe khauf tari hai
sach ka parda utha to ye jaana
zindagi jhut mein guzari hai
jis ka hasil bhi khud mein la-hasil
is se behtar to jaan-nisari hai
jab tamanna hi uth gai dil se
phir bhi kyon justuju tumhaari hai
tu ne rakkha hai sar to batla dun
mere shanon pe bojh bhaari hai
sab ko hansta dikha hasin chehra
dil ke andar to aah-o-zari hai
jis ka hasil ye burdbari hai
maut ka nam le rahe ho tum
zindagi kab bhala hamari hai
sham wo ghar ko der se pohncha
jis ki aankhon mein khwab jari hai
lakh rakkhi hain hasraten tum ne
jaane kis baat ki khumari hai
hum zamane ko padhne nikle the
ab to khud dastan hamari hai
band darwaze hi milenge tumhein
is qadar mujh pe khauf tari hai
sach ka parda utha to ye jaana
zindagi jhut mein guzari hai
jis ka hasil bhi khud mein la-hasil
is se behtar to jaan-nisari hai
jab tamanna hi uth gai dil se
phir bhi kyon justuju tumhaari hai
tu ne rakkha hai sar to batla dun
mere shanon pe bojh bhaari hai
sab ko hansta dikha hasin chehra
dil ke andar to aah-o-zari hai
68695 viewsghazal • English