zindagi ek jal mein uljhi hui hai aaj bhi
By balbir-rathiJanuary 2, 2024
zindagi ek jal mein uljhi hui hai aaj bhi
bebasi pahle jo thi wo bebasi hai aaj bhi
aaj bhi sahmi hui hai har taraf insaniyat
aadmi ki koshishon mein kuchh kami hai aaj bhi
ai dil-e-ma'sum teri aarzuon ke tufail
be-sabab be-mudda’a diwangi hai aaj bhi
meri manzil ke nishan tak mit chuke muddat hui
kis liye ai dil wahi aawargi hai aaj bhi
ek muddat ho gai wo hadisa guzre hue
hauslon par kis liye bechaargi hai aaj bhi
zindagi kyon khushk hai be-kaif hai be-rang hai
kuchh na kuchh to baat hai jis ki kami hai aaj bhi

60920 viewsghazal • English