zindagi kawish-e-baatil hai mera sath na chhod tu hi ek umr ka hasil hai mera sath na chhod log milte hain sar-e-rah guzar jate hain tu hi ek ham-safar-e-dil hai mera sath na chhod tu ne socha hai mujhe tu ne sanwara hai mujhe tu mera zehn mera dil hai mera sath na chhod tu na hoga to kahan ja ke jalunga shab bhar tujh se hi garmi-e-mahfil hai mera sath na chhod main ki biphre hue tufan mein hun lahron lahron tu ki aasuda-e-sahil hai mera sath na chhod is rifaqat ko sipar apni bana len ji len shahr ka shahr hi qatil hai mera sath na chhod ek main ne hi ugae nahin khwabon ke gulab tu bhi is jurm mein shamil hai mera sath na chhod ab kisi rah pe jalte nahin chahat ke charag tu meri aakhiri manzil hai mera sath na chhod