zindagi ke sahra mein kuchh nishan nahin milte raste to milte hain karwan nahin milte mamta ki chhanw ki qadr jo nahin karte dhup un ko milti hai saeban nahin milte umr bhar safar hi to phir nasib hota hai ghar se jab nikal jaen aashiyan nahin milte apni apni duniya mein kho gae hain hum donon tum jahan pe milte ho hum wahan nahin milte din ho ki ye duniya raegan hi thahren hum muft mein to ye aakhir do-jahan nahin milte faisle ke lamhe mein adl karna mushkil hai chashm-did logon ke kyun bayan nahin milte dard ki kitabon mein hath ki lakiron mein hum ne pa ke dekha hai gham kahan nahin milte