zindagi kya hai ek kahani hai ye kahani nahin sunani hai hai khuda bhi ajib yani jo na zamini na aasmani hai hai mere shauq-e-wasl ko ye gila us ka pahlu sara-e-fani hai apni tamir-e-jaan-o-dil ke liye apni buniyaad hum ko dhani hai ye hai lamhon ka ek shahr-e-azal yan ki har baat na-gahani hai chaliye ai jaan-e-sham aaj tumhein shama ek qabr par jalani hai rang ki apni baat hai warna aakhirash khun bhi to pani hai ek abas ka wajud hai jis se zindagi ko murad pani hai sham hai aur sahn mein dil ke ek ajab huzn-e-asmani hai