zindagi mange hai KHwabon ke KHaridar bahut

By sadiq-naqviFebruary 1, 2022
zindagi mange hai khwabon ke kharidar bahut
rah roke hai magar waqt ki diwar bahut
taza riste hue zakhmon ke kanwal mahkao
gulshan-e-zist mein aae hain kharidar bahut


chand paison ke liye jin ke qalam bikte hain
tum ko mil jaenge hotel mein wo fankar bahut
ghol do jam mein makhmur nigahon ka nasha
yaad-e-mazi se hai bechain ye mai-khwar bahut


taza phulon ko meri mez pe rakhne wale
yaad aaega mahakta hua ye pyar bahut
ek tum hote to jine ki tamanna hoti
yun to har gam pe milte rahe mai-khwar bahut


ek farsuda riwayat ke siwa kuchh bhi nahin
pyar ke nam pe sajte hain jo bazar bahut
us ka mitha wo tarannum wo ghazal 'sadiq' ki
yaad aata hai wo tanhai mein dildar bahut


58469 viewsghazalEnglish