zindagi mein jit ke kya kar liya hai

By kunwar-taniNovember 4, 2020
zindagi mein jit ke kya kar liya hai
aur ziyaada khud ko tanha kar liya hai
ek tujhe apna banane ki talab mein
jaane kitnon ko hi ruswa kar liya hai


kar liya hai khud ko chhat man bap ne aur
jism ka bachchon pe saya kar liya hai
ishq ka anjam us ne bhi na puchha
khatm hum ne bhi ye qissa kar liya hai


main lada tha waste jis ke sabhi se
phir usi ne mujh se jhagda kar liya hai
24159 viewsghazalEnglish