zindagi mein rang bhar ke mar gae

By irfan-aazmiFebruary 6, 2024
zindagi mein rang bhar ke mar gae
jin ko jina tha wo pahle mar gae
marne wala hanste hanste mar gaya
jine wale rote rote mar gae


aasman se gir ke pai zindagi
aap ki nazron se gir ke mar gae
sab ko marna hai bahar-surat magar
puchhte hain log kaise mar gae


zindagi sab se bada in'am hai
kahne wale zahr kha ke mar gae
mar gae bistar pe jo zinda rahe
ji gae jo chalte-phirte mar gae


itne buzdil ho gae sab mere ba'd
sur ki aawaz sun ke mar gae
kya karun ab ek hisse par ghurur
zindagi ke tin hisse mar gae


maut ne 'irfan' hamein mara nahin
zindagi se ladte ladte mar gae
41925 viewsghazalEnglish