zindagi wadi o sahra ka safar hai kyun hai itni viran meri rah-guzar hai kyun hai tu ujale ki tarah aa ke lipat ja mujh se ek andhera sa idhar aur udhar hai kyun hai roz milta hai koi dil ko lubhane wala phir bhi tu hi mera mahbub-e-nazar hai kyun hai ghar ki taswir bhi sahra ki tarah hai lekin farq itna hai ki diwar hai dar hai kyun hai jis ko dekhun wahi barbaad hua jata hai aadmi kya hai mohabbat ka khandar hai kyun hai main samundar hun magar pyas hai qismat meri mere daman mein agar 'ashk' guhar hai kyun hai