zist ke aasar rukhsat hain mohabbat dil mein hai karwan jata hai mir-e-karwan manzil mein hai aao dam sine mein baqi hai na hasrat dil mein hai ab to jo kuchh hai wo chashm-e-muntazar ke til mein hai han azal se jo muqaddar hai wahi hoga magar jazba-e-taid-e-qudrat sai-e-la-hasil mein hai jaan-sitan hai husn kya husn-e-talab ki ehtiyaj wo to zinat ke liye khanjar kaf-e-qatil mein hai jis ki manzil hai baqa wo jada-paima-e-fana dil idhar naqis mein shamil hai udhar kaamil mein hai tab-e-khalwat kaun la sakta hai dil to mit chuka kis qadar qatil tera jalwa bhari mahfil mein hai tu jise chahe haqiqat kah jise chahe majaz ek surat jo nazar mein hai wahi to dil mein hai iltija naz-afrini ke liye hai warna sun aarzu khud us ki shahid hai ki jalwa dil mein hai ye mata-e-zist bhi hoti hai 'mani' nazr-e-maut ek nazar aankhon mein hai aur ek hasrat dil mein hai