zist ki tarik rahon mein diya koi nahin

By rafeeq-jabirJanuary 27, 2022
zist ki tarik rahon mein diya koi nahin
is safar mein juz gham-e-dil rahnuma koi nahin
hum kisi isikandar-o-dara ka khaen kyon fareb
hum qalandar hain hamara muddaa koi nahin


ek tum sari khudai jis ki hai halqa-ba-gosh
aur mere zulmat-kade mein dusra koi nahin
kaun is naqqar-khane mein sunega dosto
ek shikasta shisha-e-dil ki sada koi nahin


kis se tujh ko ai gham-e-jaanan bhala tashbih den
itni dilkash to dhanak khushbu saba koi nahin
ai butan-e-shahr is waza-e-kuhan ko kya hua
tum mein ab ishwa-taraaz o kaj-ada koi nahin


main ne khud apni asiri shauq se manzur ki
dosto sayyaad ki is mein khata koi nahin
khak-e-pa-e-gul-rukhan aawara-e-ku-e-butan
in dinon 'jabir' sa mard-e-parsa koi nahin


84961 viewsghazalEnglish