ziyaada sochne wale tujhe pata nahin hai jo tujh ko sine lagata hai wo tera nahin hai wahan pe hum bhi hain maujud dhundne wali so tere dil mein akela tera khuda nahin hai tumhein pata hai ki tum kis liye hue ho zalil tumhaare pas koi apna nazriya nahin hai hain bad-dimagh meri tarah mere sare dost koi bhi duniya ke bare mein sochta nahin hai ai ladki tujh ko bhala mujh mein kya nazar aaya 'waqar' kham-sifat tere kaam ka nahin hai