zulf-e-daraaz se ye numayan hai ghaaliban bhaalu ki shakl ka koi insan hai ghaaliban qaul o amal mein jis ke nazar aae kuchh tazad wo maulwi nahin koi shaitan hai ghaaliban gulshan mein to gulon ka kahin nam tak nahin ye baghban ke hath mein ghoiyan hai ghaaliban hota hai us ki shokhi-e-guftar par guman lahbad nahin hai ye koi toiyan hai ghaaliban hota nahin hai ab jo namak-pashiyon ka daur bas khali khali un ka namak-dan hai ghaaliban bulbul ghunudgi mein hai aur phul muzmahil afyunchi ye sara gulistan hai ghaaliban firqa-parastiyon ne khilae kuchh aise gul samjhe ye log fasl-e-bahaaran hai ghaaliban yun be-tahasha pine lage mai-kade mein shaikh tharra bhi ab to baada-e-irfan hai ghaaliban rah kar hamari gardish-e-qismat ke sath sath chakkar mein khud bhi gardish-e-dauran hai ghaaliban hurmat ka us ki aap ko waiz jo hai khayal bint-e-inab huzur hi ki man hai ghaaliban har samt jo jalajal-o-qarna ka shor hai ghazi-miyan ke byah ka saman hai ghaaliban ai 'shauq' har tarah ke nazar aa rahe hain husn nakhkhas hi mein kucha-e-jaanan hai ghaaliban