zulm itna to na Dhao ki uTha bhi na sakun

By nayyar-qureshi-gangohiSeptember 28, 2023
zulm itna to na dhao ki utha bhi na sakun
dil ke jazbaat ko har lamha chhupa bhi na sakun
dil tumhein chir ke apna main dikha bhi na sakun
kya qayamat hai tumhein apna bana bhi na sakun


khud-satai ka sabaq ahl-e-siyasat jaanen
be-sabab jaur-o-sitam koi utha bhi na sakun
ahl-e-dil ahl-e-nazar mujh ko kaho ya na kaho
khud-gharaz ban ke kabhi main to dikha bhi na sakun


aaj ke daur ki tarikh ko likhne walo
narawa zulm ki fariyaad suna bhi na sakun
ajnabi ban ke guzarte hain wo ghairon ki tarah
gham jo apnon ne diye hain wo suna bhi na sakun


kuchh to haalat ka mara hua dil hai 'nayyar'
mehrban ban ke kisi ko main bula bhi na sakun
11493 viewsghazalEnglish