zulm ko tere ye taqat nahin milne wali

zulm ko tere ye taqat nahin milne wali
dekh tujh ko meri baiat nahin milne wali

log kirdar ki jaanib bhi nazar rakhte hain
sirf dastar se izzat nahin milne wali

shahar talwar se tum jit gae ho lekin
yun dilon ki to hukumat nahin milne wali

raste mein use dekha hai kai roz ke baad
aaj to rone ko fursat nahin milne wali

shafqaten bantne ke taur bhi sikhen warna
umr badhne se fazilat nahin milne wali

'mir' ki rah ka main aap kulahon wale
aap se meri tabiat nahin milne wali

dil dukha man ka to phir chain nahin paoge
ghar ko chhoda to kahin chhat nahin milne wali


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close