zulm-o-sitam ka jabr ka anjam kya hua
By abdur-rasheed-qamarMarch 27, 2021
zulm-o-sitam ka jabr ka anjam kya hua
tha namwar to khub magar nam kya hua
ye puchhti hai waqt ki dimak bata zara
jamshed tu kahan hai tera jam kya hua
jalte machalte gham mein pighalte rahe magar
aai jo subh bhul gae sham kya hua
mera diya bujha na saki sar-phiri hawa
ruthi hai tu bhi gardish-e-ayyam kya hua
rawan tha main to uf ki bhi jurat kisi mein thi
ban-bas mil gaya jo 'qamar' ram kya hua

17667 viewsghazal • English