zulm sale ne kiya ye dil-e-dil-gir ke sath rakh diya bandh ke chhappar mein use tir ke sath ghair ko karke riha yar bhi tadbir ke sath de diya sankhiya thoda sa use khir ke sath murshidi jaan ka munh jis ne kiya tha kala aaj bhagi hai mera din bhi usi pir ke sath wasl ka nim-maza ho gaya hasil mujh ko raat bhar soya lipat kar teri taswir ke sath ki muqaddar ki shikayat to harami ne kaha teri taqdir ka likkha teri taqdir ke sath is tarah phirta hun us shokh ke pichhe pichhe jaise itwar laga rahta hai har pir ke sath le ke us shokh ko aaram se chhat par soya ghair ko dal diya bandh ke shahtir ke sath phir to hasil ho maza wasl ka duna mujh ko aqd ho jae agar yar ki ham-shir ke sath kam-sini hi mein hua shauq-e-asiri paida barson khela hun main darwaze ki zanjir ke sath is tarah jumbishen de de ke nikala us ko aa gaya dil bhi mera khinch ke tere tir ke sath 'bum' sahab ka yahi mashghala hai aahat par dil ko bahlata hai har dam teri taswir ke sath