zulmat-e-dasht-e-adam mein bhi agar jaunga le ke ham-rah mah-e-dagh-e-jigar jaunga aariz-e-gul hun na main dida-e-bulbul gulchin ek jhonka hun faqat san se guzar jaunga ai fana tut sakegi na kabhi kashti-e-umr main kisi aur samundar mein utar jaunga dekh ji bhar ke magar tod na mujh ko gulchin hath bhi tu ne lagaya to bikhar jaunga ek qatra hun magar sail-e-mohabbat se tere ho sake jo na samundar se bhi kar jaunga dur gulshan se kisi dasht mein le ja sayyaad ham-safiron ke taranon mein to mar jaunga sehn-e-gulshan mein kai dam bichhe hain ai 'asar' ud ke jaun bhi agar main to kidhar jaunga