ai zamiin aasmaan ke maalik saarii duniyaa jahaan ke maalik tere qabze me.n sab khudaa.ii hai tere hii vaaste ba.daa.ii hai aa.ii mausam se tang jab khilqat tuu ne mausam kii dii badal suurat garmiyaa.n ho ga.ii.n ajiiran jab tuu ne barsaat bhej dii yaa-rab sab ke garmii se the khataa ausaan me.nh barasne se aa.ii jaan me.n jaan ga.e jab log me.nh se sab ghabraa hukm se tere chal pa.dii pachhu.aa jaa.daa aa pahu.nchaa aur ga.ii barsaat dam ke dam me.n badal ga.e din-raat phir lagii pa.dne jab bahut sardii mushkil aasaan tuu ne phir kardii jaa.daa aakhir hu.aa aur aa.ii bahaar jangal aur tiile ho ga.e gulzaar tuu yuu.nhii rut pe rut badaltaa rahaa yuu.nhii duniyaa kaa kaam chaltaa rahaa