aflak se aata hai nalon ka jawab aakhir karte hain khitab aakhir uthte hain hijab aakhir ahwal-e-mohabbat mein kuchh farq nahin aisa soz o tab-o-tab awwal soz o tab-o-tab aakhir main tujh ko batata hun taqdir-e-umam kya hai shamshir-o-sinan awwal taus-o-rubab aakhir mai-khana-e-europe ke dastur nirale hain late hain surur awwal dete hain sharab aakhir kya dabdaba-e-nadir kya shaukat-e-taimuri ho jate hain sab daftar gharq-e-mai-e-nab aakhir khalwat ki ghadi guzri jalwat ki ghadi aai chhutne ko hai bijli se aaghosh-e-sahab aakhir tha zabt bahut mushkil is sail-e-maani ka kah dale qalandar ne asrar-e-kitab aakhir