jab ishq sikhata hai aadab-e-khud-agahi khulte hain ghulamon par asrar-e-shahanshahi 'attar' ho 'rumi' ho 'raazi' ho 'ghazali' ho kuchh hath nahin aata be-ah-e-sahar-gahi naumid na ho in se ai rahbar-e-farzana kam-kosh to hain lekin be-zauq nahin rahi ai tair-e-lahauti us rizq se maut achchhi jis rizq se aati ho parwaz mein kotahi dara o sikandar se wo mard-e-faqir aula ho jis ki faqiri mein bu-e-asadul-lahi aain-e-jawan-mardan haq-goi o be-baki allah ke sheron ko aati nahin rubahi