aankhon se ku-e-yar ka manzar nahin gaya haalanki das baras se main us ghar nahin gaya us ne mazaq mein kaha main ruth jaungi lekin mare wajud se ye dar nahin gaya sansen udhaar le ke guzari hai zindagi hairan wo bhi thi ki main kyon mar nahin gaya sham-e-widaa lakh tasalli ke bawajud aankhon se us ki dukh ka samundar nahin gaya us ghar ki sidhiyon ne sadaen to din magar main khwab mein raha kabhi upar nahin gaya bachchon ke sath aaj use dekha to dukh hua un mein se koi ek bhi man par nahin gaya pairon mein naqsh ek hi dahliz thi 'hasan' us ke siwa main aur kisi dar nahin gaya