kis nur ki majlis mein meri jalwagari hai kis nur ki majlis mein meri jalwagari hai jis nur se pur-nur ye nur-e-nazari hai aamad hi mein hairan qayas-e-bashri hai ye kaun si taswir-e-tajalli se bhari hai go husn ka rutba nahin mazkur hua hai mimbar mera ham-martaba-e-tur hua hai sad shukr ki majlis mari mushtaq-e-sukhan hai ye faiz-e-inayat-e-husain aur hasan hai phir josh-e-jawani pe mari taba-e-kuhan hai ye quwwat-e-imdad shah-e-tishna-dahan hai naqqash mein ye sanat-e-tahrir nahin hai taswir dikhata hun ye taqrir nahin hai naqqash to karta hai qalam le ke ye tadbir ek shakl nai safha-e-qirtas pe tahrir insaf karo kilk-e-zaban se dam-e-tahrir main safha-e-baatin mein raqam karta hun taswir sau rang se taswir musawwir ne bhari hai rangini-e-mazmun ki kahan jalwagari hai taswir main us shakhs ki hun tum ko dikhata jo sani-e-mahbub-e-ilahi hai kahata ek nur jo jata hai to ek nur hai aata wajh-e-adam-e-saya-e-ahmad hun sunata tha baad-e-mohammad ke jo aaya ali akbar tha ahmad-e-mukhtar ka saya ali akbar yan tak sukhan-e-taza kiya taba ne paida wo nur-e-nabi aur nabi nur-e-khuda ka ye silsila-e-nur kahan ja ke hai pahuncha akbar ko jo dekha to batao kise dekha wallah ziyarat ka saza-war hai akbar nemul-badal ahmad0-e-mukhtar hai akbar lekin tumhein taswir ye karti hai ishaarat han majlisiyan roza-e-jannat ki bashaarat ho mahw-e-tahaarat hai agar qasd-e-ziyarat hai lazim-o-malzum ziyarat ko tahaarat is qasd pe baithe ho jo sahib-e-nazaro tum tajdid-e-wazu ashk ke pani se karo tum likha hai ki thi hazrat-e-shabbir ko aadat hoti thi namaz-e-sahri se jo faraghat pahle ali akbar hi ko bulwate the hazrat farmate the karta hun ibaadat mein ibaadat raushan ho na kyun chashm-e-husain ibn-e-ali karta hun ziyarat mein jamal-e-nubwi ki karte ali akbar to jhuka farq ko mujra har martaba mil jata tha panw se sar un ka