arsh ke nuri zamin ke farsh par aane ko hain aur ek khaki ko sair-e-khuld dikhlane ko hain bagh-e-jannat ko sidhaara sayyad-e-ali-maqam rah mein us ki malaek nur barsane ko hain wae-hasrat chal diya duniya se wo mahbub-e-qaum aur jo baqi hain us ke hijr mein jaane ko hain saqi-e-marhum tere baada-khwaron ke liye khun-e-dil pine ko aur lakht-e-jigar khane ko hain gulshan-e-millat mein ghunchon ne abhi kholi thi aankh ek jhonke se khizan ke ab wo murjhane ko hain chhup gaya wo ru-e-rakhshan mehr-e-alam-tab ka ab shab-e-yalda ki har-su zulmaten chhane ko hain ai shah-e-be-taj wo matam ki tere dhum hai taj-daron ke alam is gham se jhuk jaane ko hain dasht mein dun lag rahi hai qais ke matam mein aaj aahuwan-e-najd ki aankhon mein ashk aane ko hain ek sine mein thi sayyad ke tadap islam ki hum musalman sab barae nam kahlane ko hain karwan-e-qaum ka hangama tere dam se tha ye na tha malum hazrat kuch farmane ko hain bosa-gah-e-qaum hoga tere sang-e-astan naqsh-e-pa par tere lakhon qafile aane ko hain har zaman in rahguzar ra karwan-e-digar ast kushtagan-e-ishq ra har lakht jaan-e-digar ast hae wo khurshid-e-anwar chehra-e-taban tera hae wo mah-e-munawwar aariz-e-rakhshan tera wo nigahen jaan-faza aur wo adaen dil-ruba wo jabin-e-dil-kusha wo dil-faroz unwan tera hae us rish-e-mubarak par wo barish nur ki sham-e-piri mein bayaz-e-subh nur-afshan tera hae wo jaan-e-basirat tera nurani dimagh hae wo kan-e-mohabbat sina-e-sozan tera wo teri shan-e-jalali wo tera roab-e-jamal pad gai jis par nazar tha banda-e-farman tera mehdi-o-mushtaq hamdam shibli-o-haali nadim aur zain-ul-abdin khasai-e-khasan tera baam-o-dar collage ke hain matam mein tere sar nigun marsiyan-khwan ban gaya har kakh-o-har-aiwan tera dil se khisht-o-sang ke collage mein uthti hai sada kya hua mir-e-imarat khana-e-viran tera ta-jahan mein hai tere nana ki ummat ko baqa qaum mein matam rahega sayyad-ahmad-khan tera banda-parwar waqt-e-rukhsat yaad farmaya na kyun nazir-e-mahjur tha wabasta-e-daman tera ai chaman paira-e-millat tere shauq-e-did mein tha nawa-sanj-e-fughan ye bulbul-e-bustan tera sar-ba-sahra ab rahenge aah diwane tere sham-e-turbat ka karenge tauf parwane tere hae bazm-e-qaum mein ab jalwa farmaega kaun mah ke manind haale mein nazar aaega kaun ai masiha qaum ke tujh bin izam-e-khasta ko qum-be-izni kah ke ab jumbish mein phir laega kaun dekh kar chitwan teri uthte the dil mein walwale is nigah-e-garm se ab dil ko garmaega kaun tha tera ru-e-munawwar ek najm-e-rahnuma ab wo nurani faza zulmat mein dikhlaega kaun us shua-e-ruh-parwar se phir ai mah-e-munir dil ke dariya mein wo raqs-e-mauj dikhlaega kaun khana-jangi har taraf hai mashar-e-islam mein hae tujh bin in ke ye uljhao suljhaega kaun dar-o-gir-e-dahr misl-e-arsa-e-shatranj hai yar-e-shatir ban ke is ki chaal batlaega kaun ghuggiyon ka rup bhar kar qaum ki stage par ma nami khwahem nang-o-nam ra gaega kaun ruth kar jata hai sayyad aao len is ko mana warna itni mushkilen aasan farmaega kaun dafn karna sahn mein collage ke sir-sayyad ki lash is khalilullah se kabe ko chhudwaega kaun yun to lakhon aaenge is najd mein aur jaenge sayyad ahmad sa junun-saman magar aaega kaun ai harifan aan qadah ba-shikast-o-an saqi numand jura-e-juz ashk-e-khun dar jam-e-ma baqi numand sayyad-e-marhum ummat ka bhala karta raha fikr-e-millat roz-o-shab subh-o-masa karta raha jo falah-e-qaum ki aai samajh mein us ki baat barmala kahta raha aur barmala karta raha thi use parwah-e-tahsin aur na kuchh nafrin ka dar us ko jo karna tha be-ru-o-riya karta raha na-saza sunta raha aur marhaba kahta raha kufr ke fatwon mein kaam islam ka karta raha gar hue nakaamiyon se hausle yaron ke past himmat-e-ali ka apni iqtiza karta raha qaum mein phir taza zauq-e-but-parasti dekh kar ek naya kaba aligarh mein bana karta raha ai ki collage ke ye qasr-o-khak-o-aiwan dekhiye kaam jo shahon ka tha so ye gada karta raha us ne ki islam aur auham-e-baatil mein tamiz zang se aaina-e-din ki jila karta raha kufr ke hamlon mein tha islam ki daim sipar aalam-e-ummat ye kar-e-ambiya karta raha shahid-e-urdu ki zulfon ke nikale pech-o-kham husn ke ghamzon ko fitrat-ashna karta raha ye chali thi ummat-e-marhum sail-e-ghadr mein maut ke tufan mein kar-e-nakhuda karta raha zindagi sayyad ki thi qalb-e-tapan ki zindagi thi jahan ki zindagi jaan-e-jahan ki zindagi chhup gaya wo mehr-e-taban bazm-e-dauran chhod kar matla-e-ummid ka tarik unwan chhod kar fasl-e-gul mein wo chala bazm-e-gulistan chhod kar shakh sare aarzu ke gul-ba-daman chhod kar nala-e-dil-doz sahn-e-bostan mein sar kiya bulbulan-e-zar ne daras-e-gulistan chhod kar aa liya sail-e-fana ne karwan salar ko qafile ko dasht-e-hirman mein pareshan chhod kar pir-e-kanan ki judai se jigar hai pash pash go chala hai misr mein wo mah-e-kanan chhod kar so gaya kunj-e-lahad mein shah-e-be-taj-o-sarir bagh-o-ragh-o-bargah-o-qasr-o-aiwan chhod kar faiz se tere rahi wabasta hasil ki ummid tishna-lab kahti na jae abr-e-naisan chhod kar ye to batla de ki hai kis ka sahaara qaum ko kaba-e-dil qibla-e-jaan tera daman chhod kar kaun hoga mard-e-maidan ab masaf-e-dahr ka hath mein kis ke chala hai go wo chaugan chhod kar banda-parwar ye junun-e-ishq ke shayan na tha sair-e-gulzar-e-iram khar-e-mughilan chhod kar gahe-gahe qaum ki haalat pe bhi karna nazar sair-e-jannat chhod kar gul-gasht-e-rizwan chhod kar is chaman mein ruh mandlati rahegi aap ki jaegi bulbul kahan bazm-e-gulistan chhod kar dar-e-fani ki hai 'nazir' garche fani zindagi kushtagan-e-ishq ki hai jawedani zindagi