faqat chand nuskhon ka hai wo safina chale aae hain jo ki sina-ba-sina na un ko nabaatat se aagahi hai na aslan khabar madiniyyat ki hai na tashrih kei lai kisi par khuli hai na ilm-e-tabii na chemistry hai na pani ka ilm aur na ilm-e-hawa hai marizon ka un ke nigahban khuda hai na qanun mein un ke koi khata hai na makhzan mein angusht rakhne kei ja hai saidi mein likkha hai jo kuchh baja hai nafisi ke har qaul par jaan fida hai salaf likh gae jo qayas aur guman se sahife hain utre hue aasman se wo sher aur qasaed ka napak daftar ufunat mein sandas se jo hai bad-tar zamin jis se hai zalzale mein barabar malak jis se sharmate hain aasman par hua ilm-o-din jis se taraj sara wo ilmon mein ilm-e-adab hai hamara bura sher kahne kei gar kuchh saza hai abas jhut bakna agar narawa hai to wo mahkama jis ka qazi khuda hai muqarrar jahan nek-o-bad kei saza hai gunahgar wan chhut jaenge sare jahannam ko bhar denge shair hamare