aaj hai roz-e-wasant ai dostan sarw-qad hai bostan ke darmiyan bagh mein hai aish-o-ishrat raat din gul-rukhan bin nain guzarti ek din sab ke tan mein hai libas-e-kesri karte hain sad-barg sun lab ham-sari khub-ru sab ban rahe hain lal zard bagh ka bazar hai is waqt sard chand jaisa hai shafaq bhitar ayan chehra sab ka az-gulal aatish-fishan har chhabeli az-libas-e-kesari taza karti hai bahaare-e-jafri nachti ga ga ke holi dam-ba-dam jyun sabha indar ki dar bagh-e-iram az kabir-o-rang-e-kesar aur gulal abr chhaya hai safed-o-zard-o-lal jiyun jhadi har su hai pichkari ki dhaar daudti hain nariyan bijli ke sar josh-e-ishrat ghar-ba-ghar hai har taraf nachti hain sab takalluf-bar-taraf
This is a great holi shayari hindi me. True lovers of desh bhakti josh shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore lal ded shayari. Please share if you liked this!!!