muhayya sab hai ab asbab-e-holi utho yaro bharo rangon se jholi idhar yar aur udhar khuban saf-ara tamasha hai tamasha hai tamasha chaman mein dhum-o-ghul chaaron taraf hai idhar dholak udhar aawaz-e-daf hai idhar aashiq udhar mashuq ki saf nashshe mein mast o har yak jam-ba-kaf gulal abraq se sab bhar bhar ke jholi pukare yak-ba-yak holi hai holi lagi pichkariyon ki mar hone har ek sun rang ki bauchhaar hone koi hai sanwari koi hai gori koi champa baran umron mein thodi
This is a great mast shayari on life. True lovers of holi shayari hindi will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this kafan shayari forward is truly a work of art. Please share if you liked this!!!