'ghaalib' ne ki ye arz khudawand-e-zul-jalal jannat se kuchh dinon ke liye kar mujhe bahaal mah-wash mere kalam ko sazon pe gae hain qismat ne baad marne ke kya din dikhae hain shaer jo munharif the wo marub ho gae aiwan jo mere nam se mansub ho gae khadim ka is idare se rishta hai bahami ek bar main bhi dekh lun ghaalib-academy har shakhs ke huzur main phailae hat tha na-qadriyon ke daur mein fidwi hayat tha hukm-e-khuda hua ki zara jald jaiye duniya ko ja ke phir se zara dekh aaiye 'saghar' ba-ehtiram khuda ke wakil ne dilli mein la ke chhod diya jibrail ne ek sath do basen jo bhana-bhan guzar gain huron ne jo sanwari thin zulfen bikhar gain kandhe se kandha mar ke mah-wash nikal gaya ula se sani sher ka meter badal gaya baithe jo bus mein aur hue hosh bakhta jannat ki samt udti nazar aai fakhta jhatke se bas ke reshmi poshak phat gai jhurmut mein ladkiyon ke the aur jeb kat gai dekha jo hippiyon ko to dil shad ho gae samjhe ki qaidi qaid se aazad ho gae khufiya police bhi aada-o-atwar dekh kar pichhe lagi thi jubba-o-dastar dekh kar 'ghaalib' ki jo nigah idhar se udhar gai urdu ki ek kitab nazar se guzar gai urdu ke zar-nigar kisi aaftab ne tote ko te se likkha tha khana-kharab ne 'ghaalib' ye samjhe yar kahin popala na ho tasnif karne wala kahin totla na ho ye dagh dhul sakenge na ashkon ke dhoe se ta-umr main ne likkha hai tote ko toy se wallah be-bulae baraati se ho gai 'ghaalib' ki bhent ek sahafi se ho gai bole bade waqar se 'ghaalib' hai mera nam jannat se sath aae hain jibrail zi-maqam bole ki kitne logon pe 'ghaalib' ka bhut hai hain aap waqai koi is ka subut hai be-nur jo charagh hain wo aaftab hain kis kis ko hum bataen ki 'ghaalib' janab hain wallah jhum jaegi duniya huzur ki jannat se sath laya hun taswir hur ki taswir dekh kar kaha suniye bade miyan is shakl ki milengi hazaron hi ladkiyan huron se gah gah jo khat main ne pae hain jibrail apne sath wo sab le ke aae hain khat padh ke bole wah yahi khat hain kya janab jin mein na soz-o-saz na shikwe na iztirab ye khat bhi padh ke dekhiye jo mere pas hain huron se badh ke ladkiyan yan adwance hain har aarzu-e-dil ko ba-taswir likhti hain mata pita ko panw ki zanjir likhti hain aae the chaar roz ko jaldi guzar gae 'ghaalib' wafur-e-sharm se do din mein mar gae puchha khuda ne haal to 'ghaalib' ne ye kaha jannat se ab na jaega ye banda-e-khuda jina zamane walon ne dushwar kar diya pahchanne se bhi mere inkar kar diya aai sada-e-haq ki yahi band-o-bast hain tere watan ke log to murda-parast hain