gharelu mansuba-bandi

By raza-naqvi-vahiJanuary 26, 2021
ab ke begam meri maike se jo wapas aain
ek murghi bhi ba-sad shauq wahan se lain
main ne puchha ki meri jaan irada kya hai
tan ke bolin ki mujhe aap ne samjha kya hai


zehn ne mere banai hai ek aisi scheme
dang hon sun ke jise ilm-e-maishat ke hakim
aap bazar se ande to zara daud ke laen
taki hum jald se jald aaj hi murghi ko bithaen


tin hafton mein nikal aaenge chuze sare
to sahi aap ko pyar aae wo pyare pyare
chhe mahine mein jawan ho ke wahi murgh-bachche
nasl phailate chale jaenge dhire dhire


dekh lijega ba-taid-e-khuda-e-dana
poultry-form banega mera murghi-khana
poultry-form mein andon ki tijarat hogi
daur-e-usrat isi murghi ki badaulat hogi


main wo aurat hun ki hikmat meri mardon ko charae
inhin paison se kharidungi main kuchh bhainsen aur gay
dairy-farm banega wo taraqqi hogi
ju-e-shir aap hi angnai mein bahti hogi


aql ki baat batati hun achambha kya hai
dudh se aap ko nahlaungi samjha kya hai
bachche tarsenge na makkhan ke liye ghi ke liye
aap daftar mein na sar marenge daftar ke liye


mere khwabon ke tasadduq mein ba-shart-e-tamil
chand hi sal mein ho jaegi duniya tabdil
sehr tadbir ka taqdir pe chal jaega
jhonpada aap ka kothi mein badal jaega


al-gharaz hoti rahi baat yahi ta-sar-e-sham
nau baje raat ko sone ka jo aaya hangam
so gain rakh ke hifazat se use zer-e-palang
khwab mein aati rahi nashsha-e-daulat ki tarang


sun rahi thi koi billi bhi hamari baaten
pyari begam ki wo dilchasp wo pyari baaten
raat aadhi bhi nahin guzri thi ki ek shor macha
chikh murghi ki suni nind se main chaunk pada


aankh malta hua uttha to ye naqsha paya
us bichaari ko sahanchi mein tadapta paya
dant billi ne gadae the jo gardan ke qarib
mar gai chand hi lamhon mein phadak kar wo gharib


subh ke waqt gharaz ghar ka ye naqsha dekha
chehra begam ka kisi soch mein latka dekha
roti bachchon ne jo mangi to do hatthad mara
ise ghunsa use chanta use thappad mara


94651 viewsmazahiyaEnglish