hasin chehron se surat-ashnai hoti rahti hai samajh lo ibtidai karawai hoti rahti hai hamari biwi aur mahngai donon hain sagi bahnen hamari jeb ki aksar safai hoti rahti hai kaha main ne ki milte ho bichhad jaane ki niyyat se kaha us ne mohabbat mein judai hoti rahti hai kaha main ne meri darkhwaston ka kya bana aakhir kaha us ne ki un par karawai hoti rahti hai kaha ladke ki ammi ne rahegi khush sada beti ki upar se bhi ladke ki kamai hoti rahti hai tere pand-o-nasaeh ka natija sifr hai naseh burai hoti rahti thi burai hoti rahti hai