ikkiswin sadi ka aadmi

duniya taraqqiyon pe hai mabud ki qasam
insan kar raha hai taraqqi qadam qadam

rakkhenge is tarah qad-e-baala ko medium
lambe manush se bandh ke nate ki ab qalam

dhal jaenge shabab se pahle jo apne sin
gamlon mein boe jaenge bachche bhi ek din

insan ne aasman pe qabza dikha diya
is aadmi ke khun ko us mein chadha diya

aurat ka maghz mard ke sar par laga diya
is tajribe ne qais ko laila bana diya

bimar dil ke aap jo motor lagaenge
aashiq firaq-e-yar mein bhonpu bajaenge

kuchh din ke baad aur karenge taraqqiyan
ladke banenge tin ke shishe ki ladkiyan

sar par lagai jaengi diesel ki tankiyan
starter ka kaam karengi dolattiyan

kuchh din ke baad dekhna smart ho gaya
cick marne se aadmi start ho gaya

scienci mojizat, adaon mein dekhna
computeron ka kaam wafaon mein dekhna

pahiye lagae jaenge panw mein dekhna
aabaad honge shahr khalaon mein dekhna

ustad apna man ke shaer machine ko
godenge tracktor se ghazal ki zamin ko

insan cartoon hai putla hansi ka hai
gurde hamare, jism tira, sar kisi ka hai

afsos ka maqam nahin hai khushi ka hai
pandit ke sar mein maghz kisi maulwi ka hai

koshish bhi kar rahe hain hamin ittihad ki
insan jadon ko kat raha hai fasad ki

faulad ki machine haqiqat bataegi
kitni hai tere dil mein mohabbat bataegi

kaise kategi ye shab-e-furqat bataegi
jo haal hai shabab ka haalat bataegi

ab apni aarzu se na hum ko dabaenge
ab ladkiyon ke nakhre crenen uthaenge

heater se shoala husn ka bhadkaya jaega
ab ishq bhi machine se farmaya jaega

shauhar bhi ek machine hai samjhaya jaega
aashiq ko bhi machine se tadpaya jaega

kuchh din ke baad dekhna scienci den se
jannat ko bheje jaenge murde plane se

puchhenge hum se log to hum kya bataenge
kis shakl ka tha aadmi photo dikhaenge

bachchon ko madrason mein na murgha banaenge
rocket bana ke un ko mudarris udaenge

denge dua buzurg ye tifl-e-zahin ko
beta nazar lage na tumhaari machine ko

insan kya tha, bhul na jaen aziz log
insan aur machine mein rakkhen tamiz log

ban kar machine ho gae behad laziz log
mumkin hai pith par likhen horn-please log

'saghar' agar machine se yunhi judenge log
daen se baen hath dikha kar mudenge log

computeron se ja ke mahurat le aaenge
bhagwan ke bhajan bhi recorder sunaenge

pandit bechaare rotiyan kis shai ki khaenge
mandir mein khali baith ke ghanta bajaenge

matlab rahega koi na mulla ke din se
padh lenge log ghar pe namazen machine se

jab se huzur ye kalen ijad ho gain
kitni kalaen hath ki barbaad ho gain

ghundon ke ghar chali gain aabaad ho gain
kitni hi ladkiyan yahan nashad ho gain

khat aashiqi ke likhti nahin dil ke khun se
milne ka wada karti hain ab telephone se

talim de rahe hain to wo bhi machine se
pate hain ab sazaen bhi qaidi machine se

mana ki kaam hota hai jaldi machine se
mazdur ki kharab hai mitti machine se

motor hai jin ke pas wo ahl-e-yaqin hain
paidal hain jitne log wo kaudi ke tin hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close