kahun to kya main kahun pyari pyari aankhon ko

By saghar-khayyamiJanuary 26, 2021
kahun to kya main kahun pyari pyari aankhon ko
subu kahun ki surahi tumhaari aankhon ko
kuchh aisa chhaya hai dil par mere ghubar-e-alam
gulon ke sae bhi lagte hain bhaari aankhon ko


jhalak rahe hain wo palkon pe aansuon ki tarah
wo gham jo tum ne diye hain hamari aankhon ko
jhuken jo palken to ruk jaen dhadkanen dil ki
uthen to chum len tare tumhaari aankhon ko


lahu gulon ka baha hai ba-surat-e-ansu
khizan ne luta hai jab bhi hamari aankhon ko
duaen karte hain nargis ke phul gulshan mein
nazar lage na kisi ki tumhaari aankhon ko


sulagti raat ke sine pe barf si rakh di
ghazal mein dhaal ke goya tumhaari aankhon ko
mahakte phul sanakti hawa ye mausam-e-gul
chaman mein dekhte hain sab tumhaari aankhon ko


28644 viewsmazahiyaEnglish