rahimullah hua achchha to us ne ye dekha ho chuki hai partition gae kuchh bhag aur kuchh mar chuke hain na neta-singh baqi hai na bhishan sune is dastan ke jab fasane to ghusse ne banaya us ko majnun tadap uttha ki le kaise wo badla piye in kafiron ka kis tarah khun na kyun kahla saka wo mard-e-ghazi na jab ye mil saka wo khub roya yaka-yak us ke sab palte khayalat to us ne daman-e-islam chhoda kinara-kash hua sab bhaiyon se nae mazhab se rishta apna joda kai din baad jab nikla wo ghar se to us ke munh pe dadhi sar pe the baal nihaala-singh ab tha nam us ka liye kirpan wo ghusse se tha lal hazaron khun-fishan arman le ke khada tha aaj wo masjid ke aage pakadne ke liye us ko namazi namazen chhod kar masjid se bhage laga kar ek nara wahshat-alud wahi kirpan jhat us ne nikali laga kar qahqaha phir ek falak-ras man sine mein apne ghonp dali tamanna thi ki ek sikh main bhi marun ye puri tu ne ki allah-taala bahut khush hun rahimullah-khan ne nihaala-singh-ji ko mar dala